Ankahi Dil Ki Awaaz (Poem)
Lavz ruke the par ishaaron ka kaafila bhaaya tak nahi,
Waade karti kaise jab unhe kabhi nibhana aaya hi nahi
Naadan thi par kyun usne kuch bataya tak nahi,
Aata hun kaha lekin laut kar wapis kabhi aaya hi nahi
Dard mehsoos hua par 'kyun diya' samjhaaya tak nahi,
Ashq behte rahe par pochhna unhe aaya hi nahi
Tasveer haath mein thi par aas paas uska saaya tak nahi,
Rishta banana tha lekin wo manzar kabhi aaya hi nahi
Khat de gaya par hasti aankhein laaya tak nahi,
Syaahi saamne thi par mujhe jazbaat likhna aaya hi nahi
Dikhaya khush thi par zindagi ko jiyaa tak nahi,
Pasand tha wo mujhe par pyaar ko jataana aaya hi nahi.
---
-Sakshi. :)

No comments:
Post a Comment